Tuesday, October 14, 2008

A wish....

Kabhi waqt milay to aa jao,
Hum jheel kinary jaa baithein,

Tum apnay sukh ki baat karo,
Hum apnay dukh ki baat karain,
Aur un lamhoon ki baat karain,
Jo sung tumharay beet gaye,
Aur ahd-e-khizaan ki nazar hui,

In sab'z rutoo'n ko daman mein,
Hum payar ki khushboo mehkaye'n,
In bikhre sab'z nazaroo'n ko,
Hum aankhoo'n mein tasveer karein,

Phir apnay payar k jaadu se,
Hum lamhoo'n ko jageer karein,
Kabhi waqt miley to aa jao kinaaray jaa baithein,

No comments: