Tuesday, October 14, 2008

Taa'luq

Taa'luq toot jaye ga mera saaray zamanay say,
Meray apnay khafa hoon gay tumhay apna bananay say,
Tumharay sath rehnay say mujhay taskeen milti hay,
Bohat takleef hoti hay tumhary dor janay say,

Meray ghar ko jala dayna, magar yey zahen may rakhna,
Ujala mil nahi sakta, kisi ka ghar jalanay say,
Humari jaan jaye gi to phir tum jaan jao gay,
Kay hasil kuch nahi hota kisi ko aazmanay say,

Tumhara naam mein kaisay mita doo apni kahani say,
Bohat gehra taal'luq hey tumhara meray fasanay say.

No comments: