Thursday, November 17, 2011

A Tour to my Beautiful Misty Mother Land... Slideshow: Gibran’s trip from Lahore, Pakistan to Murree was created by TripAdvisor. See another Murree slideshow. Create your own stunning slideshow with our free photo slideshow maker.

Wednesday, May 5, 2010

Wazaahatai'n Kesi...?

Main nay us kay badlay lehjay ki
W'zahat poochi..?

Kuch dair Khamoosh Rahi..

Phir Muskura ker boli...
"PAGAL"

Jab Lehjay bad'l jayain....
to W'zahtaain kesi....?

Tuesday, October 14, 2008

A wish....

Kabhi waqt milay to aa jao,
Hum jheel kinary jaa baithein,

Tum apnay sukh ki baat karo,
Hum apnay dukh ki baat karain,
Aur un lamhoon ki baat karain,
Jo sung tumharay beet gaye,
Aur ahd-e-khizaan ki nazar hui,

In sab'z rutoo'n ko daman mein,
Hum payar ki khushboo mehkaye'n,
In bikhre sab'z nazaroo'n ko,
Hum aankhoo'n mein tasveer karein,

Phir apnay payar k jaadu se,
Hum lamhoo'n ko jageer karein,
Kabhi waqt miley to aa jao kinaaray jaa baithein,

Taa'luq

Taa'luq toot jaye ga mera saaray zamanay say,
Meray apnay khafa hoon gay tumhay apna bananay say,
Tumharay sath rehnay say mujhay taskeen milti hay,
Bohat takleef hoti hay tumhary dor janay say,

Meray ghar ko jala dayna, magar yey zahen may rakhna,
Ujala mil nahi sakta, kisi ka ghar jalanay say,
Humari jaan jaye gi to phir tum jaan jao gay,
Kay hasil kuch nahi hota kisi ko aazmanay say,

Tumhara naam mein kaisay mita doo apni kahani say,
Bohat gehra taal'luq hey tumhara meray fasanay say.

A Rain or You.........?

Yey Bareeshain bhi tum si hain!

Jo bar's gai to Bahaar hain,
Jo thehar gai to Qaraar hain,
Kabhi aa gai yu'nhi baysabbab,
Kabhi chaa gai yu'nhi roz-o-shab,

Kabhi shor hain,
Kabhi chup se hain,

Yey Bareeshain bhi tum se hain,

Kisi yaad may, Kisi raat ko,
Ek dabi hoi se rakh ko,

Kabhi yu'n huwa key bujha diya,
Kabhi khud ko khud say jala diya,
Kahee'n boond boond may Ghum se hain,

Yey Bareeshain bhi tum se hain...

Materialism

Ab Bareeshoo'n kay mausam may
Es terha nahi hota,
Koi Phool bhi nahi khilta,
Ab Bareeshoo'n k mausam may,
Toot jata hay rishta,
Aur khoon bhi nahe rista,
Ab Bareeshoo'n k mausam may,
Es terha nahi hota

Monday, October 13, 2008

A Question

Ay Khuda, Ay Khuda!
To he b'ta, parda utha!
Kiyo'n hain Mushkilain meray liye,
Ay Khuda, Ay Khuda!
Kiyo'n hey dil mera ghum say bhara,
Zab't-e-ghum say lub hain see liye,
Ay Khuda, Ay Khuda!
To he b'ta, parda utha!.