Tuesday, November 6, 2007

Plzzzz Stop........!

Meray Sab'r ka na lay imteha'n
meri khamoshi ko s'da nay day

jo teray bghair na jee s'kay
usay zindgi ki dua na day

tou aziz dil-o-naz'r say hay
tou qareeb rag-o-jaan say hay
meray jism-o-jaan ka yay faslay
kahee'n waqt aur barha na day

tujhay bhool ker bhi na bhula sakoo'n
tujhay chah ker bhi na paa sakoo'n
meri hasr'too'n ko shumar kar
meri chahtoo'n ka sila na day

wo tarap jo shula-e-jaan may thi
meray tan b'dan say lipat gai
jo bujha sak'y tu bujha usay
na bujha sak'y tau hawa na day.

Monday, November 5, 2007

isn't it bAd LucK..?

Aaisay zakhmoo'n ka kiya karey koi
Jin ko Marham s ay Aag lag jaye

Kuch Baynaam Silsilay!

yay chahtoo'n k silsalay,
ajeeb say ajeeb hain.

kabhi wo hum say dour hain
kabhi bohat kareeb hain.

jo chaha wo na pa s'kay
jo pa liya na chah s'kay,
gila karain tau kia karain,
apnay apnay naseeb hain,
na koi apna hey yaha'n,
jisay hal-e-dil suna s'kain.

jo dost hain wo dour hain,
jo pass hain raqeeb hain.

yay chahtoo'n k silsaly..
ajeeb say ajeeb hain........!

iK S'za

ik s'za aur Aseeroo'n ko suna de jaye!
Yani ab jurm-e-aseeri ki s'za de jaye

us ki khawahish hay k ab log ab na royei'n na hansain
bayhisi waqt ki awaz b'na de jaye

sirf jalna he nahi hum ko, bharkna bhi hay
Ishq ki aag ko lazim hay Hawa de jaye

sirf sooraj ka niklna hi agar din hai tau phir
aik shab aur meri shab say mila di jaye

aur ek taaza sitam us nay kiya hay eajaad
us ko es baar khul ker dua de jaye

Sunday, November 4, 2007

Agar Kabhi yu'n ho!

Agar Kabhi yu'n ho!
Kay Zindgi, teray chehray k t'mam Khad-o-Khal Mukamil ker day.

Agar Kabhi yu'n ho!
kay Zindgi, teray liyay t'mam dareechay mukfil ker day.

Agar Kabhi yu'n ho!

tau bus tum aik kaam kerna,
t'mam gham bhula dayna,,,,
faq't meri khatir muskura dayna...

Agar Kabhi yu'n ho..........................!

Saturday, November 3, 2007

Bachpan k dukh

Bachpan k dukh kitnay achay hotay thay!
tab dil nahi, khilonay toota kertay thay
wo khushiya'n bhi janay kaisi khushiya'n thien
tatli pak'r ker khub uchla kertey thay.
chotay thay tau makr-o-fraib bhi chotay thay
dana daal ker chirrya pakra kertay thay.
apnay jal janay ka ehsas bhi na tha
jalty sholoo'n ki tarf lapka kertay thay.
ab ek aansoo giray tau ruswa kerta hay
bachpan may tau dil khol k roya kertay thay

Kaisa Lagta hay

Batao kaisa lagta hay?
kisi anjan sarrk per,
kisi weeran rastay per,
kisi ka sath mil jana,
sabhi rangoo'n ka khil jana.

Batao kaisa lagta hay?
phir us k baad aik din,,
kisi ka yun bichar jana,
sabhi rangoo'n ka mit jana..
sammay ki band muthi main,
faqt rait ka reh jana.....
Batao kaisa lagta hay.....................?