Batao kaisa lagta hay?
kisi anjan sarrk per,
kisi weeran rastay per,
kisi ka sath mil jana,
sabhi rangoo'n ka khil jana.
Batao kaisa lagta hay?
phir us k baad aik din,,
kisi ka yun bichar jana,
sabhi rangoo'n ka mit jana..
sammay ki band muthi main,
faqt rait ka reh jana.....
Batao kaisa lagta hay.....................?
1 comment:
Janleva Lagta Hay
Kame'
Post a Comment